My Sayeries
  1. Ho nahi sakta muje uski yaad na aaye,

      Bhul ke bi use bhulu wo ehsas na aye,

      Wo bhule to uspar koi aanch na aaye,

      Mai bhulu to mujhe agli saans na aye

 

  1. Ay kudha najaro ko kuch aisi khudai de,

      Jidhar dekhu udhar wo hi wo dikhai de,

      Kash aisi maharaban hoti aaj hawa bhi

      Ki main usako pukaru or sirf usako hi sunai de

 

  1. Dil ke bazzar me daulat nahi dekhi jati,

      Pyar ho jaye to surat nahi dekhi jaati,

      Ek insaan par luta do sab kuch,

      Pasand ho cheez to keemat nahi dekhi jati.

 

  1. Dil ke zakhmo ko unse chupana pada,

      Palke bheegi thi par muskurana pada,

      Kaise ulte hai yeh muhobat ke riwaz,

      Ruthna chahate the hum par unko manana pada.

 

  1. Dil walon ka apna jahan hota hai,

      Zindagi junoon,ishq imtihaan hota hai,

      Bemaut mare jate hain muhobbat mein,

      Marne ka shauk kahan kise hota hai?

 

  1. Unhe aadat hai zakhm dene ki,

      Apani to fitrat hai gum chupane ki,

      Aab to aadat si pad gayi hai ansu pi jane ki,

      Kya haseen saza mili hai dil lagane ki.

 

  1. Ek lamha jo baar baar satata hai,
    na jaane yeh dil kya chahta hai.
    Kash woh hote hamhare nazron ke samne hamesha,
    par najane kyun yeh kash kash hi reh jata hai

 

  1. Ye choti si yade bada sila dengi

      Gulab ki tarh aapka chehra khila dengi

      Mat chodna dear kabhi meri yaado ko

      Ye yade aapko humse mila dengi

 

  1. Woh dil hi kyaa tere milne ki jo duaa na kare
    mai tujhko bhool ke zindaa rahoon khudaa na kare

      Ye thik hai nahin marta koyi judaai main

      Khuda kisi ko kisi se magar judaa na kare.
Rahega sath tera pyaar zindagi bankar

      Yeh aur baat meri zindagi wafa na kare.

 

  1. Thukra ke usne mujhko,

      Kaha ki muskuraao!

      Maine has diya,

      Aakhir sawal uski khushi ka tha

      Maine khoya woh jo mera tha hi nahi,

      Usne khoya wo jo sirf usi ka tha.

 

  1. Dard me koi mousam pyara nahi hota,

      Dil ho pyasa to pani se gujara nahi hota

      Koi dekhe to humari bebasi,

      Hum sabhi k ho jate hain,

      Par koi humara nahi hota.

 

  1. Mana ki tum jeete ho zamane k lye,

      Ek bar jee k to dekho hamare liye

      Dil ki kya aukaat apke samne,

      Hum to jaan bhi de denge apko pane ke liye.

 

  1. Jo tune diya usse hum yaad karenge,

      Har pal tere milne ki faryaad karenge.

      Chale aana jab kabhi khayal aaye mera,

      Hum roz khuda se pehle tujhe yaad karenge.

 

  1. Dosti ki gehrai judai me bhi hoti hai,

      Baate to hoti rehti hai

      Par bina baato ki dosti jab jinda rahe,

      Tabhi usme sachai hoti hai.

 

  1. Kisi aur ki bahon mein rehkar

      Woh humse wafa ki baat karte hain.

      Yeh kaisi chahat hai yaaro,

      Woh bewafa hain yeh jaankar bhi

      Hum unhi se mohabbat karte hain.

 

  1. Palkon pe aanso’on ko sajaya na jaa saka
    us ko bhi dil ka haal bataya na jaa saka

      Zakhmon se choor choor tha yeh dil mera
ek zakham bhi us ko dikhaya na jaa saka

      Jab uski yaad aayi to koshish ke ba wajood
aankhon main aanso’on ko chupaya na jaa saka

 

  1. Kuch log zindagi main aise bhi aaye hain
    jin ko kisi bhi lamhe bhulaya na jaa saka

      Bas is khayaal se kahin us ko dukh na ho
hum se to haal-e-ghum bhi sunaya na jaa saka

 

  1. Woh muskuraha tha mere ru-ba-ru magar
    chehre ka rang us se chupaya na jaa saka

      Tanhaiyon ki aag main hum jal gaye
magar faasla ana ka mitaya na jaa saka

 

  1. Ishq aisa karo ki dhadkan main bas jaye
    saans bhi lo to khoshboo usi ki aaye
    pyar ka nasha aankhon pe chaaye
    baat koi bhi ho par naam usi ka aaye

 

  1. Rishta ye kaisa hai naata ye kaisa hai
    pahchaan jis se nahi thi kabhi
    apnaa bana hai wahi ajanabi
    rishta ye kaisa hai naata ye kaisa hai

 

  1. Tumhe dekhte hi rahu main
    mere saamne yuu hi baithe raho tum
    karu dil ki baatein main khaamoshiyon se
    aur apne labon se na kuch bhi kaho tum

 

  1. Ye rishta hai kaisa ye naata hai kaisa
    tere tan ki khushbu bhi lagti hai apni
    ye kaisi lagan hai ye kaisa milan hai
    tere dil ki dhadkan bhi lagati hai apni

 

  1. Tumhe paake mahsuus hota hai aise
    ke jaise kabhi ham juda hi nahi the
    ye maana ke jismon ke ghar to naye hain
    magar hai puraane ye bandhan dilon ke

 

  1. Woh to paani ki boond hai jo aankhon se beh jaye
    ansu to woh hai jo tadap ke aankhon mein hi reh jaye
    wo dard kya jo lafzon mein byan ho
    dard to woh hai jo aankhon mein nazar aaye

 

  1. Tera hasta howa chehra kaha kahi hai
    teri khubsurati si muskurahat kaha kahi hai
    tere paoon ki aawaz aj bhi sunaye dehti hai
    teri khushboo ki mehek aj bhi aati hai
    teri aawaz bhi aj kal har jagha sunaye dehti hai
    magar tu hi nahi

 

  1. Hum wo ishq hain jo dil bankar dhadakte hain
    hum wo khusbu hain jo baanho main mehakte hain
    hum se pyar na karna e zalim
    hum wo dard hain jo aankho se jhalakte hain

 

  1. Mohabbat main sath to har pal hota hai
    koi dikhne se hota hai
    to koi dil me hota hai
    maza to sath tab aaye yaaro
    jab judai ka lumha mehsoos hota hai

 

  1. Unhe chahna humari kamjori hai
    unhe keh nahi pana humari majboori hai
    woh kya nahi samajhte humari khamoshiyo ko
    kya pyar ka izhar karna jaruri ha

 

  1. Tum nahi tumhari yaad hi sahi
    tum khush raho mai barbad hi sahi

 

  1. Uski aankon me is kadar noor hai,

      Ki uski yadon me rona bhi manjur hai,

      Pyar to humne kiya, wo to bekasur hai.

 

  1. Aap ki ek muskarahat ne sabke hosh uda diye,

      Jab sab hosh me aane ko the, tab aap phir se muskara diye

 

  1. Moom ki tarha pighalte hue dehka us ko
    rut jo badli to badalte hue dekha us ko

      Wo jo kanton ko bhi narmi se chuaa karta tha
humne pholon ko masalte hue dekha us ko

      Jane kis gham ko chupane ki tamana hai usay
aaj har baat pe hunsty hue dekha us ko

      Wo mangne jata hai duaon main kisey
hath uthate hi sisakte hue dekha us ko

      Phir duaon k liye haath uthaye humne
jab muqadar se ulajhte hue dekha us ko

 

  1. Humhe laga hum hi chatey hai aap ko

      Aap ke cahaney walo ka kafila nikla

      Dil ney kaha sikayaat kare khuda sai

      Par woh bhi aap ke cahaney walo mai sai nikla

 

  1. Us key bin chup chup rehna ab acha lagta hay
    khamooshi say ek dard ko sehna acha lagta hay

      Us ka milna na milna qismat ki baat hay
pal pal us ki yaad may roona acha lagta hay

      Us key bina sari khushyaan aajab lagti hain
roo roo kar us ki yaad may soona acha lagta hay

 

  1. Umar ki raho main insaan badal jate hain,

      Waqt ki aandhi main tufan badal jate hain,

      Souchte hain itna yaad na karenge,

      Magar aankh band hote hi irade badal jate hain

 

  1. Dekhte hai aaj hum us raah ki viraniya,
    yaaro sang kati janha kitni tanhaiya,
    guzra wo daur bichhad gaye sab dost,
    saath rah gayee to bas un lamho ki kahaniya

 

  1. Dard hota nahi duniya ko dikhane ke liye,
    har koi rota nahi aansu bahane ke liye,
    ruthne ka mazaa tak aata hai,
    jab koi apna ho manane ke liye.

 

  1. Apni ankhon ke samunder mein uttar jane de
    tera mujrim hoon mujhe doob ke mar jane de
    zakham kitne teri chahat se mile hain mujhko
    sonchta hoon kahoon tujhse, magar jaane de

 

  1. Dard kitna hai bata nahi skta

      Zakham ktnay hain dekha nahi skta.
Aakhon se samjh sako toh samjh lo

      Aanso ktnay gehry hai gena nahi skta

 

  1. Yaad na karoge toh bhula bhi na sakoge,
    mera khayal dil se mita bhi na sakoge,
    ek baar jo tum mere gum dekh lo,
    toh phir saari zindagi muskura bhi na sakoge.

 

  1. Kuch din toh baso merii aankhon mein
    phir khuwab agar ho jaao toh kya

      Koi rang toh do mere chehre ko
phir zakhm agar mehkao toh kya

      Ek ainaa tha so toot gayaa
ab khud se agar sharmaao toh kya

      Main tanha tha main tanhaa huun
tum aao toh kya na aao toh kya

 

  1. Shaam udas thi subah udas thi,
    kafan me lipti hue meri laash thi,
    ae mere gharwalo muje wahi dafnao
    jaha meri aur uski pehli mulakat thi…

 

  1. Kachi deewar hoon thokar na lagana mujh ko
    apni nazron mai basa ker na giraana mujh ko

      Tum ko aankho mai tasawwoor ki tarah rakhta hoon
dil mai dharkan ki tarah tum bhi basana mujh ko

      Baat karnae mai jo mushkil ho tumhein mehfil mai
mai samajh jaaonga nazron se bataana mujh ko

      Waada utna hi karo jitna nibha sakte ho
khawab pura jo na ho wo na dikhana mujh ko

      Apne rishtey ki nazaakat ka bharam rakh lena
mai to aashiq hoon deewana na banana mujh ko

      Kachi deewar hoon thokar na lagana mujh ko
apni nazron mai basa ker na giraana mujh ko

 

  1. Dil se roye magar hoto se muskura baithe,
    yuhi hum kisi se wafa nibha baite,
    wo hume ek lamha na de paye,
    jinke liye hum apni zindgi gawa baithe.

 

  1. Pyar chiz nahi jatane ki,
    hame aadat nahi kisiko bhulane ki.
    Hum isliye milte hai kam aapse,
    kyuki, nazar lag jati he risto ko zamane ki.

 

46. Chaho tum jise chahat se zyada...

      Sapne dekho tum jiske neend se zyada...

      Maango tum jise mannat se zyada...

      Khuda kare woh bhi tumse pyr kare apni saanso se bhi zyada...

 

47. Dard ko bhi ab dard hone laga hai,

      Dard khud hi ab mere ghav bharne laga hai,

      Jaha dard k mare hum to na roye the kabhi,

      Dard khud hi chhu kar rone laga hai...

 

48. Jab se ek bewafaa ka hamare dil mein basera hogaya,

      Dil to dil tha saya bhi hamara paraya hogaya,

      Hume aitbaar tha pyaar ki shama se roshan karega wo zindgai ko,

      Usne aisa dhoka diya k zindagi mein andhera hogaya...

 

49. Aakar meri majaar par tune jo muskura diya,

      Bijli chamak uthi sara badan jala diya,

Jite ji na pucha dard-e-dil ka haal,

      Ab aye ho puchne jab khaak mein mila diya.

 

50. Hansi mein gham chhupa kar jita hoon,

      Dard k pemane ko chhalka kar pita hoon,

      Use kya malum kitna tanha hoon,

      Are, wafa se bachne k liye bewafaa ko yaad kar kar mein jita hoon...

 

51. Kab teri yaad mein chur nahi hota,

      Kab tujhse milne ko dil majboor nahi hota,

      Ye sach hai zindagi mein dil usi ka tut jata hai jis kasoor nahi hota...

 

52. Mat puch mere sabar ki intiha kaha tak hai,

      Tu kar le sitam teri taakaat jaha tak hai,

      Wafa ki umeed jinhe hogi unhe hogi,

      Mujhe to ye dekhna hai k tu bewafaa kaha tak hai...

 

53. Chan alfaz-e-berukhi k aur kuch nahi,

      Yahi tha unka pyaar aur kuch nahi,

      Jan jayenge ek din wafa kya hai,

      Bas ek jaan jayegi aur kuch nahi...

 

54. Meri maut ki khabar mere pyaar ko na dena,

      Warna meri muhabbat ki tauheen hogi,

      Mein hounga chaar kandho par aur meri jaan pedal hogi...

 

55. Bheeg jati hai palkein tanhayi mein,

      Darte hai koi jaan na le.

      Pasand karte hai tez barsaat mein chalna,

      Kahi rote huwe ko koi pehchaan na le...

 

56. Khud ki mohabbat ko fanaah kaun karega,

      Sub naik banenge to gunaah kaun karega.

      Aye khuda mere sanam bewafaa ko salamat rakhna,

      Warna meri maut ki duaa kaun karega...

 

57. Sitam ko humne berukhi samjha,

      Pyaar ko humne bandagi samjha,

      Tum chahe hume jo bhi samjho,

      Par humne to tumhe apni zindagi samjha...

 

58. Waada to kar lete hai par nibhana bhool jate hai,

      Lagakar aag sine mein bhujana bhool jate hai,

      Bhulana to aadat ho gayi hai logo ki,

      Rulate hai aur phir manana bhool jate hai...

 

59. Hum use bhool kar bhi nahi jee sakte,

      Hum use yaad rakh kar bhi jee nahi sakte,

      Mar jate kabke unke bina,

      Par kya kare unki baaho k bina mar bhi nahi sakte...

 

60. Dil dena magar bharosa mat karna,

      Muskurana magar aansu mat bahana,

      Pyaar karna magar door mat jana,

      Are dost,

      Mar jana magar dhoka mat dena...

 

61. Udaas jheel sa soya huwa tha waqt magar,

      Jaga k nind se kisne mujhe jhinjhod dala,

      Bada haseen tha khwaabo ka aaina mera,

      Kisi ne fenk kar patthar woh sheesha tod dala...

 

62. Ek sawal zindagi se kiya karte hai,

      K hum is duniya mein kyu jiya karte hai,

      Jab kisi k liye kisi k paas waqt nahi,

      To log kyu rishte bana liya karte hai...

 

63. Usne rona sika dia,

      Hum to mrna chahte the maut k intzar ne jeena sikha diya ...

      Kissi anjaan se pyaar ho jaata hai.

      Zaruri nahi jo khushi de ussi se pyaar ho ....

      Na shikwa na gila rahe aapse tamanna hai bas ek silsila rahe aapse

 

64. Kuch kadmo ki hi doorie par woh mere saamne hai
chupke se dekh aankhien band kar leta hoon
kya waqt ki majboori hai use choo nahi sakta
zindagi saamne hai mere saansein le nahi sakta

65. Uski maasoom nigahein jaise meri nazron se mili
uske hoto pe khamosh si harkat thi
aab-e-deedah se meri bebasi yun byaan hui
zamaane ke shor mein yun aakhri mulaqaat anjaam hui

66.  Mera dil ab samjha hai yeh ishq gazab hai kyun
band nigahon mein tera tassavur ajab hai kyun
saagar mein rehkar bhi paani ki tadap hai kyun
use na choo paane ke baad maaloom hua, ishq ehsaas hai kyun
jo ho nahi sakta mera, uski chaah hai kyun
bada ajab hai, bada gazab hai
bas yeh ishq hi hai yun.

 

 

 

 

shamim@live.in
 
 
Today, there have been 2 visitors (2 hits) on this page!
This website was created for free with Own-Free-Website.com. Would you also like to have your own website?
Sign up for free